Din ka Bhoot - A Horror Man&Womans ( part – 1 )



                                         Din ka Bhoot ( part – 1 )

Writer – Arif khan
Email – 9166672008arif@gmail.com


Hari Hari Faslo Se Lehlehate Hue Khet Kisi Ka Bhi Dil Khush Kar Saktey Hain. Lekin Kya Aapko Pata Hai Ki Yahi Khet Kitne Darawney Bhi Ho Saktey Hain. Jyadatar Khet Gaon Se Door, Shehri Abaadi Se Door, baney Hotey Hain. Aur In Sunsaan Kheto Me Kaam Karne Walo Kaa Samna Kai Baar Kuch Bahut Hee Darawni Cheejo Se Hota Hai. Kheto Me Fasal Ugane Ke Liye Bahut Mehnat Karni Padti Hai, Aur Jab Fasal Lag Jati Hai,

 To Din Raat Uski Rakhwali Bhi Karni Padti Hai. Chahe Din Ho Ya Raat Ek Aadmi Ka Kheto Me Hona Bahut Jauri Hota Hai. Aur Raat Ke Samay Ghupp Andehere Me Milo Tak Failey Kheto Me Jab Hawa Chalti Hai To Aisi Darawani Aawazein Paida Karti Hai Kii Koi Kamjor Din Wala Insan Ek Raat Bhi Wahan Nahi Gujaar Sakta. To Aaj Lekar Aaya Hu Kheto Se Judi 3 Darawani Kahaniya Jinko Sunkar Aap Jarur Kaanp Uthenge.

Number-1 Main Ek Chotey Se Gan Me Pala Bada Hu. Aur Aisey Chotey Gaon Me Rehtey Hue Aksar Aapka Saamna Kuch Bahut Hee Ajeeb Cheejo Se Ho Jata Hai. Hamara Gaon Shehar Se Jyada Door To Nahi Tha, Lekin Fir Bhi Shehar Ke Comparson Me Hamara Gaon Bahut Pichda Hua Tha. Gaon Ke Bahar Hamare Bahut Sare Khet They, Aur Ham Log Kheti Se He Apna Gujara Karte They.

 Gaon Me Rene Mujhey Bahut Acha To Lagta Tha Lekin Kai Baar Garmiyo Me Raste Se Aate Hue Aksar Sookhey Ped Toot Kar Ane Jane Walo Ke Upar Gir Jatey They. Jo Kahani Main Aapko Batana Ja Raha Hoon Ye Kareeb 3 Saal Pehle Kee Hai. Kheto Me Rakhwali Ke Liye Hamne 3 Kuttey Bhi Paale Hue They, Jo Kee Khet Me Hee Rehtey They. Aur Har Roj Subah Shaam Unko Khana Daalne Ki Duty Meri Hee Hoti Thi. Wo Teeno Kuttey Bahut Jyada Bade To Nahi They,

Lekin Wo Bahut Tej They Aur Bilkul Dartey Nahi They Kisi Se. Din Me To Wo Fir Bhi Shaant Rehtey They, Lekin Raat Me Koi Agar Galti Se Bhi Hamare Khet Me Ghus Jaye To Wo Usko Bhaga Detey They?

Comments