Din ka Bhoot - A Horror Man&Womans ( part – 2 )


                        Din ka Bhoot - A Horror Man&Womans ( part – 2 )


Writer – arif khan
Email – 9166672008arif@gmail.com


Meri Unse Bahut Achi Dosti Thi, Main Jahan Bhi Jata Wo Mere Peechey Peechey Hee Rehtey. Khet Me Hee Hamne Ek Chota Sa Kaccha Makan Bhi Bana Rakha Tha, Jisse Kee Raat Me Agar Koi Khet Me Rukey To Usi Kamrey Ke Andar Hee Ruk Jaye. Saath Hee Mere Papa Ne Usi Kamre Me Hee Kai Terah Ke Aujaar Bhi Rakhey Huey They.

Waisey To Normally Main 6-7 Baje Tak Kutto Ko Khana De Deta Tha, Lekin Us Raat Dosto Ke Saath Baatein Kartey Karte Mujhey Waqt Ka Andaja Hee Nahi Raha Aur Main Late Ho Gaya.8.30 Baj Chukey They. Main Jaldi Se Kheto Ke Taraf Jane Laga. Sardiyo Ke Din They Aur Us Raat Kohra Bhi Bahut Tha, Aur Theek Se Kuch Dikh Bhi Nahi Raha Tha.

Maine Ek Torch Light Utahyi Aur Jaldi Se Khet Pahucha. Khet Pahuchkar Mainey Kutto Ko Khana Daala Aur Uski Karme Me Jakar Let Gaya Aur Gaane Sunne Laga. Na Jaane Kyu Us Din Hawa Me Kuch Jyada Hee Sannata Tha. Yahan Tak Ki Kheto Me Mojood Chote Motey Keedo Ki Awazein Bhi Nahi Aa Rahi Thi. Khair Maine Jyada Dhyaan Nahi Diya, Aur Lete Lete Gaane Sunne Laga. Wo Pehli Raat Nahi Thi Jab Main Khet Me Akele Ruka Tha.

Lekin Pehli Baar Muhey Khet Me Bahut Ajeeb Sa Lag Raha Tha. Main Ye To Nahi Kahunga Ki Main Dara Hua Tha, Lekin Pata Nahi Kyun Mera Dil Keh Raha Tha Ki Main Wahan Se Chala Jaun.

Comments